Mirza Ghalib - Aamad-E-Khat Se Hua Hai Sard Jo Bazar-E-Dost

Aamad-E-Khat Se Hua Hai

Aamad-E-Khat Se Hua Hai Sard Jo Bazar-E-Dost
Dood-E-Shama-E-Kushta Tha, Shayed Kaht-E-Rukhsar-E-Dost

Ai Dil-E-Naa-Aaqebat-Andesh Zabt-E-Shauq Kar
Kaun Laa Sakta Hai Taab-E-Jalwa-E-Dedar-E-Dost

Khana Weeraan Sazi-E-Hairat Tamaasha Keejiye
Soorat-E-Naqsh-E-Qadam Hoon Rufta-E-Raftar-E-Dost

Ishq Mein Bedaad-E-Rashk-E-Ghair Ne Mara Mujhe
Kushta-E-Dushman Hoon Aakhir, Garche Tha Beemar-E-Dost

Chashm-E-Maa Raushan, Ki Us Bedard Ka Dil Shaad Hai
Deeda-E-Pur-Khoon Hamara, Saghar-E-Sarshar Dost

Ghair Yon Karta Hai Meri Pursish, Us Ke Hijr Mein
Be Takalluf Dost Ho Jaise Koi Ghamkhwar-E-Dost

Taki Main Jaanoon Ki Hai Uski Rasaayi Waan Talak
Mujh Ko Deta Hai Payaam-E-Wada-E-Deedar-E-Dost

Jab Ki Main Karta Hoon Apna Shikwa-E-Zof-E-Dimagh
Sar Kare Hai Woh Hadees-E-Zulf-E-Amber-Bar-E-Dost

Chupke Chupke Mujh Ko Rote Dekh Paata Hai Agar
Hans Ke Karta Hai Bayaan-E-Shokhi-E-Guftar-E-Dost

Mehrbani Haaye Dushman Ki Shikayat Keejiye
Yan Byan Keeje Sapaas-E-Lazzat-E-Aazaar-E-Dost

Yeh Ghazal Apni Mujhe Jee Se Pasand Aati Hai Aap
Hai Radeef-E-Sher Mein, ‘Ghalib’ Za Bas Takraar-E-Dost

-----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>