Dhamki Mein Mar Gaya, Jo Na Bab-E-Naberd Tha
Ishq-E-Naberd Pesha Talabgar-E-Mard Tha
Tha Zindagi Mein Marg Ka Khatka Laga Hua
Udne Se Peshtar Bhi Mera Rung Zard Tha
Taaleef Nuskhaha-E- Wafa Kar Raha Tha Main
Majmooa-E- Khayal Abhi Fard Fard Tha
Dil Ta Jigar Ke Saahil-E-Darya-E-Khon Hai Ab
Is Rahguzar Mein Jalwa-E- Gul Aa Ke Gard Tha
Jaati Hai Koi Kash-Makash Andoh-E-Ishq Ki
Dil Bhi Agar Gaya, To Wahi Dil Ka Dard Tha
Ahbab Charah-Saazi-E-Wahshat Na Kar Sake
Zindaan Mein Bhi Khayal Byabaan Naward Tha
Ye Lash-E-Be-Kafan ‘Asad’-E-Khasta-Jaan Ki Hai
Haq Maghfirat Kare Ajab Aazaad Mard Tha
-------------------------
0 Comments