Ghalib - Ghuncha-E-Na-Shagufta Ko

Ghuncha-E-Na-Shagufta Ko


Ghuncha-E-Na-Shagufta Ko Door Se Mat Dikha, Ke Yon
Bosey Ko Poochhta Hoon Main, Munh Sey Bata Ke Yon

Pursish-Terz-E-Dilbari Keejiye Kya Ke Bin Kahe
Us Ke Har Ek Ishaare Sey Nikle Hai Yeh Ada Ke Yon

Raat Ke Waqt Mai Piye, Saath Raqeeb Ko Liye
Aaye Woh Yaan Khuda Kare, Par Na Kare Khuda Ke Yon

Ghair Se Raat Kya Bani, Yeh Jo Kaha, To Dekhiye
Saamne Aan Baithna, Aur Yeh Dekhna Ke Yon

Bazm Mein Us Ke Ru-Ba-Ru Kyon Na Kamosh Baithiye
Us Ki To Khamoshi Mein Bhi Hai Yahi Mudda’a Ke Yon

Main Ne Kaha Ke Bazm-E-Naaz Chaahiye Ghair Se Tahi
Sun Ke, Sitam Zareef Ne Mujh Ko Utha Diya Ke Yon

Mujh Se Kaha Jo Yaar Ne, Jaate Hain Hosh Kis Tarah
Dekh Ke Meri Bekhudi Chalne Lagi Hawa Ki Yon

Kab Mujhe Koo-E-Yaar Mein Rahne Ki Waza’ Yaad Thi
Aayina-Daar Ban Gayi Hairat-E-Naqsh-E-Paa Ke Yon

Gar Tere Dil Mein Ho Khayaal, Wasl Mein Shauq Ka Zawaal
Mauj-E-Muheet-E-Aab Mein Maare Hai Dast-O-Paa Ke Yon

Jo Yeh Kahe Ki ‘Rekhta’ Kyon Kar Ho Rashk-E-Farsi
Gufta-E-‘Ghalib’ Ek Bar Padh Ke Us Ko Suna Ke Yon

----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>