Hai Kis Qadar Halak-E-Fareb-E-Wafa-E-Gul
Bulbul Ke Karobar Pe Hain Khandha-Haa-E-Gul
Aazadi-E-Naseem Mubarak Ki Har Taraf
Toote Padein Hain Halqa-E-Daam-E-Hawa-E-Gul
Jo Tha, So Mauj-E-Rung Ke Dhoke Mein Mar Gaya
Ai Waaye Naala-E-Lab-E-Khoonee Nawa-E-Gul!
Khush-Haal Us Hareef-E-Siyah Must Ka Ki Jo
Rakhta Ho Misl-E-Saaya-E-Sar Ba-Paa-E-Gul
Eejaad Karti Hai Usey Terey Liye Bahar
Mera Raqeeb Hai Nafas-E-Itr-Saa-E-Gul
Sherminda Rakhte Hain Mujhe Baad-E-Bahar Se
Meenaa-E-Be Sharab-O-Dil-E-Be Hawaa-E-Gul
Satwat Se Terey Jalwa-E-Husn-E-Ghayoor Ki
Khoon Hai Meri Nigah Mein Rung-E-Ada-E-Gul
Tere Hi Jalwe Ka Hai Ye Dhoka Ki Aaj Tak
Be Akhtiyar Daude Hai Gul Dar Qaza-E-Gul
‘Ghalib’ Mujhe Hai Us Se Hum-Aaghoshi Arzoo
Jiska Khayal, Hai Gul-E-Jaib-E-Qaba-E-Gul
---------------------------
1 Comments
No no othe one like Mirza ghalib
ReplyDelete