Deewangi Se, Dosh Pe Zunnaar Bhi Nahin
Ya’ni Hamari Jeb Mein Ek Taar Bhi Nahin
Dil Ko Neyaz-E-Hasrat-E-Deedar Kar Chuke
Dekha To Hum Mein Taqat-E-Deedar Bhi Nahin
Milna Tera Agar Nahin Aasaan To Sahel Hai
Dushwar To Yahi Hai Ke, Dushwar Bhi Nahin
Be Ishq Umr Kat Nahin Sakti Hai Aur Yaan
Taqat Baqadr-E-Lazzat-E-Aazaar Bhi Nahin
Shoridgi Ke Hath Se Sar Hai Wabaal-E-Dosh
Sahra Mein Ai Khuda! Koi Deewar Bhi Nahin
Gunjaish-E-Adawat-E-Aghiyar Ek Taraf
Yaan Dil Mein Zo’f Se Hawas-E-Yaar Bhi Nahin
Dar Nala-Haa-E-Zaar Se Mere Khuda Ko Maan
Aakhir Nawa-E-Murgh-E-Giraftar Bhi Nahin
Dil Mein Hai Yaar Ki Saf-E-Mizgan Se Roo-Kashi
Haalaan Ki Taqat-E-Khalish-E-Khar Bhi Nahin
Is Saadgi Pe Kaun Na Mar Jaaye Ai Khuda !
Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahin
Dekha ‘Asad’ Ko Khilwat-O-Jalwat Mein Baraha
Deewana Gar Nahin Hai To Hushiyaar Bhi Nahin
-----------------------------------
0 Comments