Dil-Jalon Se Dil-Lagi Achchi Nahin
Rone Waalon Se Hansi Achchi Nahin
Munh Banata Hai Bura Kyun Waqt-E-Va’z
Aaj Vaaiz Tu Ne Pee Achchi Nahin
But-Kade Se Mai-Kada Achcha Mera
Be-Ḳhudi Achchi, Ḳhudi Achchi Nahin
Muflison Ki Zindagi Ka Zikr Kya
Muflisi Ki Maut Bhi Achchi Nahin
Ik Hasin Ho Dil Ke Bahlane Ko Roz
Roz Ki Yeh Dil-Lagi Achchi Nahin
Zarra Zarra Aaftab-E-Hashr Hai
Hashr Achcha Woh Gali Achchi Nahin
Ahl-E-Mahshar Se Na Uljho Tum 'Reyaz'
Hashr Mein Deewangi Achchi Nahin
------------------------
3 Comments
آپ کی اردو شاعری کی ترویج کے حوالے سے یہ کاوش قابل تعریف ہے جسکا لیے تہہ دل سے ہم شکرگزار ہیں جون ایلیا کے کچھ شعر شئیر کررہا ہوں امید ہے آپکو پسند آئیں گے
ReplyDeleteDekha tha jab ki pehle – pehal usne aaina,
uss waqt main wahan na hua kuchh nahi hua.
Woh ek jamaal jalwa-fishan hai zameen – zameen,
main ta-ba-aasmaan na hua kuchh nahi hua.
Maine bas ek nighaah mein tayy kar liya tujhe,
tu rang-e bekaraan na hua kuchh nahi hua.
Ghum ho ki jaan tu meri aaghosh-e zaat mein,
benaam-o nishaan na hua kuchh nahi hua.
Har koi darmiyaan hai aye maajra-farosh,
main apne darmiyaan na hua kuchh nahi hua
jaun elia urdu Poetry
Thanks. Your work on Jon Elia is commendable. What a learned shayar Elia.
ReplyDeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete