Jo Ham Aaye To Botal Kyun Alag Peer-E-Muġhan Rakh Di
Purani Dosti Bhi Taaq Par Ai Mehrban Rakh Di
Ḳhuda Ke Haath Hai Bikna Na Bikna Mai Ka Ai Saaqi
Barabar Masjid-E-Jama Ke Hum Ne Ab Dukan Rakh Di
Chaman Ka Lutf Aata Hai Mujhe Sayyad Ke Sadqe
Qafas Mein Laa Ke Uss Ne Aaj Shaḳh-E-Aashiyan Rakh Di
Bina Hai Ek Hi Donon Ki Ka’ba Ho Ke But-Ḳhana
Utha Kar Ḳhisht-E-Ḳhum Main Ne Wahan Rakh Di Yahan Rakh Di
Ye Qais-O-Koh-Kan Ke Se Fasane Ban Gaye Kitne
Kisi Ne Tukḍe Tukḍe Sab Hamari Dastan Rakh Di
Yeh Aalam Hai 'Reyaz' Ek Ek Qatre Ko Tarasta Hoon
Haram Mein Ab Bhari Botal Ḳhuda Jaane Kahan Rakh Di
------------------------
0 Comments