Kal Qayamat Hai Qayamat Ke Siwa Kya Hoga
Ai Main Qurban Wafa Wa’da-E-Farda Hoga
Hashr Ke Roz Bhi Kya Ḳhoon-E-Tamanna Hoga
Saamne Aayenge Ya Aaj Bhi Parda Hoga
Tu Bata De Hamen Sadqe Tere Ai Shaan-E-Karam
Hum Gunahgaar Hain Kya Hashr Hamara Hoga
Aisi Le-De Hui Aa Kar Ke Ilaahi-Tauba
Hum Samajhte They Ki Mahshar Mein Tamasha Hoga
Pike Aaya Araq-E-Sharm Jabin Par Jo Kabhi
Chehre Par Baada-Kasho Noor Barasta Hoga
Sharm-E-Isyan Se Nahin Uthti Hain Palken Apni
Hum Gunahgaar Se Kya Hashr Mein Parda Hoga
Ka’ba Sunte Hain Ki Ghar Hai Baḍe Daata Ka 'Reyaz'
Zindagi Hai To Faqeeron Ka Bhi Phera Hoga
------------------------
0 Comments