Duniya Shayari

Dunia


Yehi Duniya Hai Duniya Aansuon Ki,
Yehi Duniya Tabassum-Zaar Bhi Hai.

[Jigar Moradabadi] 
 
--------------------


Har Sham Hui Subah Ko Ik Khwab-E-Faramosh,
Duniya Yehi Duniya Hai To Kya Yaad Rahegi.

[Yagana Changezi] 
 
--------------------


Duniya Ne Kis Ka Raah-E-Fana Mein Diya Hai Saath, 
Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale.
 
[Zauq] 
 
--------------------


Khuda Jaane Yeh Duniya Jalwa-Gah-E-Naaz Hai Kis Ki,
Hazaaron Uth Gaye Lekin Wohi Raunaq Hai Mahfil Ki.
 
[Unknown] 
 
--------------------


Meri Duniya Mein Faqat Ek Khuda Kaafi Hai
Dosto Kitne Khudaaon Ko Khudaai Doon Ga

Teri Hi Rooh Ka Naghma Hoon Agar Mit Bhi Gaya
Main Tujhe Doosri Duniya Mein Dikhaayi Doon Ga

 [Qamar Jalalabadi] 
 
--------------------


Muhajir Hain Magar Ham Ek Duniya Chhor Aaye Hain,
Tumhare Paas Jitna Hai Ham Utna Chhor Aaye Hain,
 
[Manzar Hussain Akbar] 
 
--------------------


Saari Duniya Ke Hain Woh Mere Siwa,
Main Ne Duniya Chhor Di Jin Ke Liye.
 
 
--------------------


Duniya Meri Bala Jaane, Mahngi Hai Ya Sasti Hai,
Maut Mile To Muft Na Loon, Hasti Ki Kya Hasti Hai.

 [Fani] 
 
--------------------


Duniya Mein Hoon, Duniya Ka Talabgaar Nahin Hoon,
Baazaar Se Guzra Hoon, Kharidaar Nahin Hoon.

[Akbar Allahabadi] 
 
--------------------


Duniya Ne Teri Yaad Se Begaana Kar Diya,
Tujh Se Bhi Dil-Fareb Hain Ghum Rozgaar Ke.

[Faiz Ahmad Faiz] 
 
--------------------


Baazeecha-E-Atfaal Hai Duniya Mere Aage,
Hota Hai Shab-O-Roz Tamaasha Mere Aage.

 [Mirza Ghalib]

 -----------------------

Jab Main Duniya Ke Liye Bech Ke Ghar Aayaa Tha
Un Dinon Bhi Mere Hissey Mein Safar Aaya Tha 


----------------------


Marne Ki Duaayen Kyon Maangoon, Jeene Ki Tamanna Kaun Kare,
Yeh Duniya Ya Woh Duniya, Ab Khwahish-E-Duniya Kaun Kare

[Jazbi] 
 
--------------------


Yeh Aab-O-Khaak-O-Baad Ka Jahaan Bahut Haseen Hai,
Agar Koi Bahisht Hai, To Bas Yehi Zameen Hai.

 
[Sardar Jafri] 
 
--------------------


Yeh Duniya Hai Yahaan Taar-E-Kafan Bhi Chheen Lete Hain,
Musaafir Thak Ke Soye Hain, Mazaaro, Jaagte Rahna.

 
[Zameer Kazmi] 
 
--------------------


Mat Ho Bahaar-E-Gulshan-E-Duniya Ka Andleeb,
Is Phool-Ban Mein Boo-E-Rafaaqat Nahin Rahi.
 
[Seraj Aurangabadi] 
 
--------------------


Duniya Ke Haal, Ahl-e-Adam, Hai Yeh Mukhtasar, 
Ek Do Qadam Ka Koocha-E-Umeed-O-Beem Tha.

 
[Ameer Minai] 
 
--------------------


Roz Maamoor-E-Duniya Mein Kharaabi Hai, Zafar,
Aisi Basti Ko Toh Weeraana Banaaya Hota. 

[Zafar
 
--------------------


Aankh Jo Kuchh Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahin,
Mahw-E-Hairat Hoon Ke Duniya Kya Se Kya Ho Jaayegi.
 
[Allama Iqbal] 
 
--------------------

Iss Duniya Mein Jo Hum Ko Dil Ke Hain Rog Mile 
Khushiyon Ki Talash Mein Jo Hum Ko Hain Sog Mile 

--------------------

 

Post a Comment

0 Comments

–>