Dabeer-Kis Sher Ki Aamad Hai Ki Ran Kaanp Raha Hai

 

dabeer




Kis Sher Ki Aamad Hai Ki Ran Kaanp Raha Hai
Rustam Ka Jigar Zer-E-Kafan Kaanp Raha Hai
Har Qasr-E-Salaateen Zaman Kaanp Raha Hai
Sab Ek Taraf Chakh-E-Kuhan Kaanp Raha Hai

Shamsheer Bakaf Dekh Ke Haider Ke Pisar Ko
Jibraeel Larazte Hain Samete Huwe Par Ko

Haibat Se Hain Na Qila-E-Aflaak Ke Dar Band
Jallad-E-Falak Bhi Nazar Aata Hai Nazar Band
Wa Hai Kamar Charkh Se Joda Ka Kamar Band
Sayyare Hain Ghaltaan Sifat Taayar-E-Par Band

Angusht-E-Ataaru Se Qalam Chhoot Pada Hai
Khurshid Ke Panje Se Alam Chhoot Pada Hai

Khud Fitna-O-Shar Padh Rahe Hain Fateha-E-Khair
Kahte Hain Anal-Abd Laraz Kar Sanam Dair
Jaan Ghair Hai, Tan Ghair, Makin Ghair, Makan Ghair
Ne Charkh Ka Hai Daur Na Sayyaron Ki Hai Sair

Sakte Mein Falak Khauf Se Maanind-E-Zeen Hai
Juz Bakht Yazeed Ab Koi Gardish Mein Nahin Hai

Be-Hosh Hai Bijli Pe Samand Un Ka Hai Hushyaar
Khwabida Hain Sab Taale' Abbas Hai Bedaar
Poshida Hai Khurshid Alam Unka Namoodaar
Be Noor Hai Munh Chand Ka Rukh Un Ka Ziya-Baar

Sab Juzw Hain Kul Rutba Mein Kahlaate Hain Abbaas
Kaunain Peyada Hain Sawaar Aate Hain Abbaas

Rahat Ke Mahlon Ko Bala Pooch Rahi Hai
Hasti Ke Makaanon Ko Fana Pooch Rahi Hai
Taqdeer Se Umar Apni Qaza Pooch Rahi Hai
Donon Ka Pata Fauj-E-Jafa Pooch Rahi Hai

Ghaflat Ka Toh Dil Chaunk Pada Khauf Se Hil Kar
Fitne Ne Kiya Khwab Gale Kufr Se Mil Kar

Al-Nashr Ka Hangama Hai Is Waqt Hashar Mein
Al-Soor Ka Aawaaza Hai Ab Jinn-O-Bashar Mein
Al-Hijr Ka Hai Tazkera Baahum Sar-O-Tan Mein
Al-Wasl Ka Ghul Hai Saqar-O-Ahle Saqar Mein

Al-Hashr Jo Murde Na Pukaaren To Ghazab Hai
Al-Maut Zabaan-E-Malak-Ul-Maut Pe Ab Hai

Har Khud Nihaan Hota Hai Khud Kaasa-E-Sar Mein
Maanind Rag-O-Resha Zirah Chhupti Hai Bar Mein
Be Rang Hai Rang Aslahe Ka Fauj-E-Umar Mein
Jauhar Hai Na Teghon Mein Na Roghan Hai Sipar Mein

Rang Udd Ke Bhara Hai Jo Rukh-E-Fauj-E-La'yeen Ka
Chehra Nazar Aata Hai Falak Ka Na Zameen Ka

Hai Shor Falak Ka Ki Yeh Khrshid-E-Arab Hai
Insaf Yeh Kahta Hai Ki Chup Tark-E-Adab Hai
Khurshid-E-Falak Par To Aariz Ka Laqab Hai
Yeh Qudrat-E-Rab, Qudrat-E-Rab, Qudrat-E-Rab Hai

Har Ek Kab Iss Ke Sharf-O-Jaah Ko Samjhe
Iss Bande Ko Woh Samjhe Jo Allah Ko Samjhe

Yusuf Hai Yeh Kan'an Mein, Sulemaan Hai Saba Mein
Eisa Hai Masihaai Mein Moosa Hai Dua Mein
Ayyub Hai Yeh Sabr Mein Yahya Hai Buka Mein
Shabbir Hai Mazloomi Mein Haider Hai Wafa Mein

Kya Gham Jo Na Maadar Na Pidar Rakhte Hain Aadam
Abbaas Sa Duniya Mein Pisar Rakhte Hain Aadam

Aamad Ko To Dekha, Rukh-E-Pur-Noor Ko Dekho
Wash-Shams Padho Raushni-O-Toor Ko Dekho
Ne Roshn-E-Maah Ko Ne Hoor Ko Dekho
Iss Shama-E-Murad, Malak-O-Hoor Ko Dekho

Hai Kaun Tajalli Rukh-E-Pur-Noor Ki Maanind
Yaan Raushni-E-Toor, Jali Toor Ki Maanind

Gulzar Hai Yeh Nazm-O-Bayan Besha Nahi Hai
Baghi Ko Bhi Gul-Gasht Mein Andesha Nahin Hai
Har Misrah Barjasta Hai Phal Tesha Nahin Hai
Yaan Maghz Sukhan Ka Hai Rag-O-Resha Nahin Hai

Sehat Meri Tashkhees Se Hai Nazm Ke Fun Ki
Maanind-E-Qalam Haath Mein Hai Nabz-E-Sukhan Ki

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>