Takht Hai Aur Kahani Hai Wahi
Aur Saazish Bhi Purani Hai Wahi
Qaazi-E-Shahr Ne Qibla Badla
Ek Khutbe Mein Rawaani Hai Wahi
Khema-Kash Ab Ke Zara Dekh Ki Hawa
Jis Pe Pahra Tha, Yeh Paani Hai Wahi
Sulah Ko Fiskh Kiya Dil Mein Magar
Ab Bhi Paigham Zubaani Hai Wahi
Aaj Bhi Chehra-E-Khurshid Hai Zard
Aaj Bhi Shaam Suhaani Hai Wahi
Badle Jaate Hain Yahan Roz Tabeeb
Aur Zakhmon Ki Kahani Hai Wahi
Hujla-E-Ghum Yunhi Aaraasta Hai
Dil Ki Poshak Shahaani Hai Wahi
Shahr Ka Shahr Yahan Doob Gaya
Aur Darya Ki Rawaani Hai Wahi
-------------------------
0 Comments