Jaun Elia- Kya Sitam Hai Ke Ab Teri Soorat

Kya Sitam Hai Ke Ab Teri Soorat

 

Ek Hi Muzhdah Subh Laati Hai
Dhoop Aangan Mein Phail Jaati Hai

Rang Mausam Hai Aur Baad-E-Saba
Shahar Koochon Mein Khaak Udaati Hai

Farsh Par Kaaghaz Udte Phirte Hain
Mez Par Gard Jamti Jaati Hai

Kya Sitam Hai Ke Ab Teri Soorat
Ghaur Karne Pe Yaad Aati Hai

Sochta Hoon Ke Us Ki Yaad Aakhir
Ab Kise Raat Bhar Jagaati Hai

So Gaye Ped Jaag Uthi Khushboo
Zindagi Khwab Kyon Dikhati Hai

Us Saraapa Vafaa Ki Furqat Mein
Khwaahish-E-Ghair Kyun Sataati Hai

Kaun Is Ghar Ki Dekh-Bhaal Kare
Roz Ek Cheez Toot Jaati Hai

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>